Aap ke chehre pe udaasi aankhon mei nami hai…. aap ke chehre pe udaasi aankhon mei nami hai…. national namak istamal karo aap mein iodine ki kami hai!
Jab say tumhain jana hai, jab say tumhain paya hai, her dua main tera hi naam aaya hai, taaki puchoon rab se, . . . . yeh kaisa namoona banaya hai?
Mein tumko chand kehdu magar usme daag hai, suraj kehdun usme to aag hai, socha tumko bandar keh dun… magar us kambakhat mai bhi dimaag hai.
Log kehte hain ki khuda ne aapko badi fursat mai banaya hoga…. ” simple c baat hai, faltu kaam fursat mai hi to kiye jate hain”.
Reh reh kar mujh ko to bas ek hi khayal aata hai . . . . reh reh kar mujh ko to bas ek hi khayal aata hai…. woh kambakht na jane kaunse sabun se nahata hai!!
Aaj kal tum muskurati bahut ho, mere dil ko bhaati bahut ho, dil kehta hai le jaaun tumhen dinner pe, par suna hai tum khaati bahut ho!
Pyar na rahe to wafa kaun karega, dost na rahe to dosti kaun karega, khuda salamat rakhe tumhe varna, bandar ki tarah uchal-kood kaun karega
Taza hawa ka jhoka aaya kushbu tere sath laya... phir mere dil me khayal aaya... ke lagta hay ki... aaj bhi tu.. nahi ""nahaya""
Aankhon mein shrafat chaal mein nazakat dil main sachaii chehre main safai phir kyun na bole har ladki aap ko, mera bhai mera bhai
Paiydaishi pagal ki 4 nishania 1-seedhey hath mai mobile pakrega. 2-anguthey se button dabayega. 3-msg parh ke hansega. 4-soche ga ki kisko send karu.
Har lal rang red nahin hota, har insan bad nahin hota, kaise kahoon par sach hai ki har koi aapki tarah mad nahin hota.