Kal fursat na mili to kya hoga, itni mohlat na mili to kya hoga, roz kehte ho kal milenge, kal milenge, kal meri aakhen na khuli to kya hoga.
Sath chhutne se rishte nahi tuta karte, waqt ki dhundh se lamhe nahi tuta karte, log kehte hain mera sapna tut gaya, tutati to nind hai sapne nahi tuta karte.
Kashti toofan se nikal sakti hai, shama bujh ke bhi jal sakti hai, mayus na ho irade na badal aye dost, kismat kisi bhi waqt badal sakti hai.
Is kadar na har baat yaron se pucho, jo baat raaz ki ho isharon se puchho, leharo se khelna to samandar ka shauk hai, lagti hai chot kaisi kinaron se puchho.
Taqdeer ke khel se kabhi mayoos nahi hote, zindagi mein aise kabhi udaas nahi hote, hathon ki lakeeron par vishwas mat karna, taqdeer to unki bhi hoti hai jinke hath nahi hote.
Wo khafa bhi hota hai to zahir nahi karta, kasoorwar hain hum ye bhala khabar kaise ho, jiske deed se dhadkano ko rahat hoti hai, aadin bina us chand ke zindagi ye basar kaise ho.
Sham suraj ko dhalna sikhati hai, shama parwane ko jalana sikhati hai, girne wale ko hoti to hai takleef, par thokar hi insaan ko chalna sikhati hai.
Agar manzil pana hai to hausala sath rakhna, agar pyar pana hai to aitbar sath rakhna, aur agar chaho hamesha muskurana, to sab bhoolkar bas hamein yaad rakhana.
Ya khuda meri duaon mein itna asar karde, khushiyan use, dard uska mujhe nazar kar de. dilon se dooriyon ka ehsaas mita de ya maula, nahin to uske aanchal ko mera kafan kar de.
Yadein hoti hain satane ke liye, koi roothta hai phir maan jane ke liye, rishte banana koi mushkil to nahi, jaan bhi chali hai nibhane ke liye.
Kuchh sitaron ki chamak kuchh sitaron ki chamak nahi jaati, kuchh yadon ki khanak nahi jaati, kuchh logon se hota hai aisa rishta, ke door reh ke bhi un ki mehak nahi jaati.
Chehre ki hasi se har gam chupao, bahut kuchh bolo par kuchh na batao. khud na rutho kabhi par sabko manao, ye raz hai zindagi ka, bas jeete chale jao.