Musafir Ke Raaste Badalte RaheMusafir ke raaste badalte raheMuqaddar mein chalna tha chalte raheKoi phool sa haath kandhe pe thaMere paanv sholon pe chalte raheMere raaste mein ujala rahaDiye us kee aankhon ke jalte raheWo kya tha jise humne thukara diyaMagar umar bhar haath malte raheMohabbat adavat wafa berukhiKiraye ke ghar the badalte raheSuna hai unhein bhi hawa lag gayiHawaon ke jo rukh badalte raheLipat ke charagon se wo so gayeJo phoolon pe karvat badalte rahe
Sar Jhukaoge ToSar jhukaoge to..Sar jhukaoge to patthar devta ho jayega;Itanaa mat chaho use wo be-wafa ho jayega;Hum bhi dariya hain humein apana hunar maloom hai;Jis taraf bhii chal padenge raasta ho jayega;Kitani sachayi se mujh se zindagi ne keh diya;Tu nahi mera to koi doosra ho jayega;Main khuda ka naam le kar pee rahaa hun dostoZehar bhi iss mein agar hoga dawa ho jayega;Rooth janaa to mohabbat kee alamat hai magar;Kya khabar thi mujh se wo itna khafa ho jayega
Tere Naam Se MohabbatTere naam se mohabbaTere naam se mohabbat kee haiTere ehsaas se mohabbat kee haiTum pass nahi ho mere phir bhiTumhari yaad se mohabbat kee haiKabhi tumne bhi mujhe yaad kiya hogaMaine un lamhaat se mohabbat kee haiTum se milna to ek khwaab sa lagta haiMaine tumhare intezar se bhi mohabbat kee hai
Nikli Mohabbat Kee Jo BaatNikli mohabbat kee jo baat..Nikli mohabbat kee jo baat to tum yaad aa gayeUthe dil mein wo jazbat to tum yaad aa gayeGarmi ne sukha diya tha teri yaadon koHui jab phir pyaar ki barsat to tum yaad aa gayeYun to dil mera bebas na rehta thaBadle jab halaat to tum yaad aa gayeSone-chandi se sazi rehti thi kalai meriKhali dekhe jab apne haath to tum yaad aa gaye
Ai Mohabbat Tere Anjaam Pe Rona AayaAi mohabbat tere anjaam pe rona aayaJaane kyon aaj tere naam pe rona aayaYun to har shaam umeedon mein guzar jati haiAaj kuch baat hai jo shaam pe rona aayaKabhi taqdeer ka maatam kabhi duniya ka gilaManzil-e-ishq mein har ghum pe rona aayaMujh pe hi khatam hua silsila-e-nauhagariIs kadar gardish-e-ayyam pe rona aayaJab hua zikar zamane mein mohabbat ka "shakeel"Mujh ko apne dil-e-nakaam pe rona aaya
Aur Bhi Ho Gaye Begana Wo Gaflat KarkeAur bhi ho gaye begana wo gaflat karkeAazamaya jo unhein tark-e-mohabbat karkeDil ne chhodaa hai na chhode tere milne ka khayalBaaraha dekh liya humne malamat karkeRuh ne payi hai takleef-e-judai se nijaatAapki yaad ko saramaya-e-rahat karkeChhed se ab wo ye kehte hain ki sambhlo 'hasarat'Sabr-o-taab-e-dil-beemaar ko garat karke