Mohabbat Nahi Hai Naam Sirf Pa Lene KaMohabbat nahi hai naam sirf pa lene kaBichhad ke bhi aksar dil dhadakte hain saath saath
Mile Agar Mera Humdum To Use Sirf Itna Keh DenaMile agar mera humdum to use sirf itna keh denaBina teri mohabbat ke woh pagal jee nahi sakta
Mohabbat Ki Gawahi Apne Hone Ki Khabar Le JaMohabbat ki gawahi apne hone ki khabar le jaJis taraf wo shakhs rehta hai mujhe aye dil us taraf le ja
Ek KhwaishEk khwaisEk khwaish sarhaney rakh do naAaj mujh pe inayat ker do naZara chupkey se khamoshi seTum izhar-e-mohabbat ker do naKhud ko ker k deewana saMera pyaar amar tum ker do naMain pyaas mein duuba sehra hoonTum mujh ko samandar ker do naMain yun hi phirta hoon dar-ba-darTum khud ko manzil ker do na
Zindagi Mein To SabhiZindagi mein to sabhZindagi mein to sabhi pyaar kiya karte hainMain to markar bhi meri jaan tujhe chahoongaTu mila hai to ye ehsaas huaa hai mujhkoYe meri umar mohabbat ke liye thhodi haiEk zara sa ghum-e-dauraan ka bhi haq hai jis parMaine wo saans bhi tere liye rakh chhodi haiTujh pe ho jaaoonga qurban tujhe chahoongaMain to markar bhi meri jaan tujhe chaahoongaApne jazbaat mein naghmaat rachaane ke liyeMaine dhadkan ki tarah dil mein basaaya hai tujheMain tasavvur bhi judaai ka bhala kaise karoonMaine kismat ki lakeeron se churaaya hai tujhePyar ka banke nigehbaan tujhe chaahoongaMain to markar bhi meri jaan tujhe chaahoongaTeri har chaap se jalte hain khayaalon mein chiraagJab bhi tu aaye jagaata huaa jaadu aayeTujhko chhulun to aye jaan-e-tamanna mujhkoDair tak apne badan se teri khushboo aayeTu bahaaron ka hai unwaan tujhe chaahoongaMain to marrkar bhi meri jaan tujhe chaaooungaTranslationGham-e-dauraan: period of sorroNaghmaat: melodTasavvur: contemplatioNigaahbaan: guard, janitoJaan-e-tamanna: hearts desirUnwaan: form, headline, label, legen
Gham-E-Dil Ko Inn Aakhon Se Gham-E-Dil Ko Inn Aakhon Se Chalak Jana Bhi Aata HaiGham-e-dil ko inn aakhon seGham-e-dil ko inn aakhon se chalak jana bhi aata hai;Tarapna bhi hamein aata hai tarpaana bhi aata hai;Kisi ki yaad mein jo zindagi hum ne guzaari hai;Hamein woh zindagi apni mohabbat se bhi pyari hai;Woh aayein ru-ba-ru hum dastaan apni sunayein ge;Kuch apna dil jalayein ge, kuch unnko aazmayein ge;Dabe paaon hamein aa kar kisi ka gud-gudaa dena;Woh apna rooth jana aur woh unnka manaa lena;Woh manzar jhaankte hain aaj bhi yaadon ki chilman se;Bhula sakta hai kaise koi woh anzaad bachpan ke;Hamein aata nahi hai pyar mein be-aabru hona;Sikhaya husn ko hum ne wafaa mein surkhuroo hona;Hum apne khoon-e-dil se zindagi ki maang bhar dein ge;Yeh dil kya cheez hai, hum jaan bhi qurbaan kar dein ge