Dekh Lete Ho Mohabbat SeDekh lete ho mohabbat sDekh lete ho mohabbat se yahi kaafi haiDil dhadakta hai sahulat se, yahi kaafi haiHaal duniya ke sataye hue kuch logon kaPuch lete ho shararat se, yahi kaafi haiJo bhi raaste mein guzarta hai mere pehlu seDekhta hai teri nisbat se, yahi kaafi haiMuddatton se nahi dekha tera jalwa lekinYaad aa jate ho shiddat se, yahi kaafi haiSaari duniya se uljhate hain lekin tera kahaMaan jate hain sharafat se, yahi kaafi haiKya hua hum jo muyassar jo zar-o-maal nahinKatt rahi hai baai izzat se, yahi kaafi haiAaj ke ehad tagaful mein kisi dar pe 'munir'Koi aa jaye zarurat se, yahi kaafi hai
Musafir Ke Raaste Badalte RaheMusafir ke raaste badalte raheMuqaddar mein chalna tha chalte raheKoi phool sa haath kandhe pe thaMere paanv sholon pe chalte raheMere raaste mein ujala rahaDiye us kee aankhon ke jalte raheWo kya tha jise humne thukara diyaMagar umar bhar haath malte raheMohabbat adavat wafa berukhiKiraye ke ghar the badalte raheSuna hai unhein bhi hawa lag gayiHawaon ke jo rukh badalte raheLipat ke charagon se wo so gayeJo phoolon pe karvat badalte rahe
Mohabbat Ke Sapne Dikhatae Bohat HainMohabbat ke sapne dikhatae bohat hainWo raaton main hum ko jagate bohat hainMain ankhon main kajal lagaon to kaiseInn ankhon ko log rulatae bohat hain
Main Aksar Usko Sochun To Mujhe Mehsoos Hota HaiMain aksar usko sochun to mujhe mehsoos hota haiUse mujhse mohabbat thi, ya phir veham tha yeh mera
Ishq Qaatil Se BhiIshq qaatil se bhi, maqtool se hamdardi bhiYeh btaa kis se mohabbat ki jaza mange ga
Zindagi Yun Hi Bahut Kam Hai Mohabbat Ke LiyeZindagi yun hi bahut kam hai mohabbat ke liyeRooth kar aise yun waqt zaaya na kiya karo