Jo Buraayi Mere Naam Se Mansoob HuyiJo buraayi mere naam se mansoob huyiDosto, kitna bura tha mera acha hona
Teri Banda Parwari Se Mere Din Guzar Rahe HainTeri banda parwari se mere din guzar rahe hainNa gila hai doston ka, na shikayat-e-zamana
Iss Dunya Mein Jo Humko Dil Ke Hain Rog MileIss dunya mein jo humko dil ke hain rog mileKhushiyon ki talaash mein jo humko hain sog mileMatlabi zamane kee matlabi galiyon meinDoston ke roop mein sab dushman log mile
Tadapte Hain Din Raat Par Jatate NahiTadapte hain din raat par jatate nahiHaal-e-dil koi puche hum batate nahiSunkar aapko hogi hairat badi dostoHum unhe chahte hain jo hume chahte nahi
Duniya Ko Humse Shikayat Yahi HaiDuniya ko humse shikayat yahi haiKi uske usulon ko hum nahi jaanteAre inhi par toh chal rahe hain, dostoTabhi kisi ko apna hum nahi maante
Kami Hai Mujh Mein Toh Bas ItniKami hai mujh mein toh bas itni eh mere dostoKi haal e dil apna sabhi ko suna deta hun mainYeh maalum hai mujhko ki koi saath nahi detaFir bhi sabhi ko apna bana letaa hun main