Ahista Chal ZindagiAhista chal zindagAhista chal zindagi, abhi kayi karz chukana baki haiKuch dard mitana baki hai, kuch farz nibhana baki haiRaftar mein tere chalne se kuch rooth gaye, kuch chut gayRoothon ko manana baki hai, roton ko hasana baki haiKuch hasratein abhi adhuri hain, kuch kaam bhi aur zaruri haiKhwahishein jo ghut gayi iss dil mein unko dafnana baki haiKuch rishte ban kar toot gaye, kuch judte-judte chut gayeUn toote-chute rishton ke zakhmon ko mitana baki haiTu aage chal main aata hun, kya chhod tujhe jee paungaIn saanso par haq hai jinka, unko samjhana baki haiAhista chal zindagi abhi kayi karz chukana baki hai
Tanha Hu Is Dard Mohabbat MeiTanha hu is dard mohabbat meiMeri tarah behaal tum bhi hoHum hai kisi ujde hue shahar ki misaalAankhen bata rahi hai ki viraan tum bhi ho
Issi Khayaal Se Guzri Hai Shaam-e-Dard AksarIssi khayaal se guzri hai shaam-e-dard aksarKe dard hadh se jo guzre ga muskuraa doon ga
Kisi Dard Ko Sambhal Pana Aasan NahiKisi dard ko sambhal pana aasan nahiHanste hue har lamha bitana aasan nahiZindgi mein har koi dil mein basta nahiAur jo bas jaye usko dil se bhulana aasan nahi
Dard Saho Magar Aahein Na BharoDard saho magar aahein na bharoYeh jamane ka kaisa dastoor haiNa mile woh hamse na mile hum unseMain bhi majboor woh bhi majboor hain