Dil Dhoondhta HaiDil dhoondhta hai, phir waheDil dhoondhta hai, fir wahee furasat ke raat dinBaithhe rahe tasavvur-e-jaanaa kiye huyeJaadon kee narm dhoop aur, aangan mein let karAankhon pe khinch kar tere, aanchal ke saaye koAaundhe pade rahe kabhee, karawat liye huyeBarfilee sardiyon mein, kisi bhee pahaad parWaadee mein gunjatee huyee, khaamoshiyaan sooneAankhon mein bheege bheege se, lamhe liye huyeYaa gamreeyon kee raat jo poorawaaeeyaan chaleThhandee safed chaadaro pe jaage der takTaaron ko dekhate rahe chhat par pade huyeTranslationTasavvur - contemplatio
Woh Lamhe Rulate Hain Humko Raat DinWoh lamhe rulate hain humko raat dinWoh lamhe, unka bhi to dil dukhate hongeJab kabhi bhi woh, padh lete honge nagme hamareNaam apna padhkar, aankho se ashk jhalak aate honge
Lamhe Ye Suhane Saath Ho Na HoLamhe ye suhane saath ho na hoKal me aaj jaisi koi baat ho na hoAapka pyar hamesha is dil mei rahegaChahe poori umar mulaqat ho na ho
Dard Ke Lamhe Kab Hum Par Asaan BaneDard ke lamhe kab hum par asaan baneJo dukh aansu na ban sake woh toofaan bane
Yeh Din Raat Yeh Lamhe Mujhe Achhe Se Lagte HainYeh din raat yeh lamhe mujhe achhe se lagte hainTumhein sochun to saare silsile achhe se lagte hain
Love Sms Shayari, Aasmaan hi nahiAasmaan hi nahi saare sitare bhi humare hainAap jo akele ho to hum aapke sahare hainJis pal aap hume yaad karte hoWo lamhe saare jahan se pyare hain