Kaise Bhulu Un Zaalim Aankho Ko MeinKaise bhulu un zaalim aankho ko mein.Kar di hai zindagi meri bezaar.Jo pyaar ke badle de gayin hai bas intezaar.
Ankhon me aa jate hai aansuAnkhon me aa jate hai aansuPhir bhi labo pe hasi lani padti haiYe mohabbat bhi kya cheez hai yaaroJis se karte hai usi se chupani padti hai
Aankh se lahu na bahaaya karAankh se lahu na bahaaya karAye dil use kabhi to bhool jaya karDekhna wo ek din tujhe chorr jaaye gaNa tu use itna sataaya karItna aetbaar bhi achha nahi hotaUse har ek baat na bataya karShiddat-e-gham se seena phatt jaaye gaAankh se kuch aansu bahaya karUs jesa tujhe kahin mil nahi saktaHazaar baar roothe hazaar baar manaya kar.
Tum mujhe kabhi dil to kabhi aankho se pukaroTum mujhe kabhi dil to kabhi aankho se pukaro…Ye hontho ke tabassum to zamane ke liye hain
Use Kehna Ameer-E-Shehar Kabhi Sir Nicha Nahi KarteUse kehna ameer-e-shehar kabhi sir nicha nahi karteAna ka hum kisi bhi hal me sauda nahi karteAgar ghum had se barh jayain to ansu aa hi jatey hainMagar hum apni aankhon ko kabhi dariya nahi karteKhushi ke sare mousam dusron me baant dete hainFakat ek dard ki doulat hai jo hum banta nahi karteHum ehley zoo ki fitrat se to sare log waqif hainKe hum kuchh kar guzrate hain magar socha nahi karteKareinge tum se hum tark-e-taaluq ye kaise mumkin haiKe hum to dushmanon ka sath bhi chhoda nahi karte!
Ansuo ki likhawat ko padh na sakogeAnsuo ki likhawat ko padh na sakogeGile kagaz pe kuch likh na sakogeYaad aayegi tumko hamari baateKhokar jab tum hume pa na sakoge