Banta: Yaar Sasural Me Damaad Ki Ijjat Sabse Jyada Kyon Hoti Hai? Santa: Kyonki Vo Jante Hain Ki Yah Vah Mahan Aadmi Hai Jisne Unke Ke Ghar Ke Tufan Ko Sambhal Ke Rakha Hai
Santa : Sunati Ho Meri Maa I Hai Jito: To Kaunsi Nayi Baat Hain Unka To Roj Ka Hi Kaam Hai Ab Kyon Aayi Hain? Santa : Are Ma Paanch Kilo Pyaaj Bhi Laayi Hai Jito: Aap Bhi Na Pahle Bolna Tha Na Maa Ji Aayi Hai Badi Mushkil Se To Badon Ka Pyaar Aur Aashirwad Nasib Hota Hai
Ek Baar Santa Ki Tang Ki Haddi Tut Gayi Vo Aspatal Gaya To Vahan Usane Dekha Ki Ek Aadmi Ki Donon Tagon Ki Haddiyan Tuti Hui Thi Use Dekh Santa Bola "Are Aap Ki Kya Do Biviyan Hain"
Santa Aur Jeeto Ki Ladai Ho Gai Aadha Din Chupchap Gujarne Ke Bad Jito Santa Ke Paas I Aur Boli "Is Tarah Jhagadate Achche Nahi Lagte Ek Kam Karte Hain Thoda Aap Samjhauta Karo Thoda Main Karti Hu" Santa: Thik Hai Kya Karna Hai? Jito: Aap Mujhse Maafi Maag Lo Aur Main Aapko Maaf Kar Deti Hu
Banta: Bhai Bakre Ki Jindagi Badhiya Hai Santa: Vo Kaise? Banta: Are Ek Baar Kat Gaya Aur Kissa Khatm Santa: Kya Hua Bhabhi Vapas A Gayi Kya?
Sham Ko Pati Ke Ghar Aate Hi Patni Ne Kichkich Shuru Kar Di Santa: Are Yaar Dinbhar Ka Thakahara Aaya Hu Pahle Fresh To Hone Do Patni: Main Bhi Dinbhar Akeli Thi To Main Bhi Fresh Hi Ho Rahi Hu