Ek Premi Apni Premika Ke Sath Kar Men Ja Raha Tha Garmiyon Ke Din The Aur Khidkiyaan Band Thi Usane Apani Premika Se Kaha: Jara Kar Ki Khidkiyan To Khol Do Bahut Garmi Hai Premika Chillai: Tumhara Dimag Kharab Hai? Is Tarah To Hamare Padosi Jaan Jayenge Ki Hamari Kar Aircondind (Airconditioned) Nahin Hai!
Koi Rasta Nahi Dua Ke Siva; Koi Sunta Nahi Khuda Ke Siva; Maine Bhi Jindagi Ko Karib Se Dekha Hai E Dost; Garmi Men Koi Saath Nahin Deta... . . . . . Biar Ke Siva Shubh Garmi!
Kuch Log To Is Saal Ki Garmi Men Aise Haytoba Macha Rahe Hain Jaise . . . . . . . . Pichhle Kai Saalon Ki Garmi In Salon Ne Switzerland Men Bitai Hon
Pappu: Sukhi Sukhi Sadkon Pe Main Tera Intzar Karu Garlfrend: Bhigibhigi Hota Hai Pappu: Itni Garmi Men Tera Baap Pani Dalega Aakar Sadkon Pe?
Aaj Ka Gyaan: Ma Ke Is Mahine Men Apani Bivi Ke Sath Bhul Kar Bhi Jhagda Na Karen Nahin To Iska Khamiyaja Aapko Garmi Ki Chuttiyan Uske Sath Bita Kar Bhugatana Padega