Aaj Phir Ji Bhar Ke Aaj Phir Ji Bhar Ke Pi Aaya Hoon Main

SHARE

Aaj phir ji bhar k
Aaj phir ji bhar ke pi aaya hoon main
Dekhte hi teri aankhen shola saamaan ho gaien
Shukar kar ai jaan ke main
Hoon dar-e-afrang ka ik adna ghulaam
Sadar-e-aazam yaani daryooza gar-e-aazam nahin
Warna ik jaam-e-sharab-e-arqhawaan
Kya bujha sakta mere seena-e-sozaan ki aag
Ghum se mar jaati na tu
Aaj pi jo main
Jaam-e-rangeen ke bajaae
Bekason aur naatwaan ka lahu
Shukar kar ai jaan ke main
Hoon dar-e afrang ka ik adna ghulaam
Aur behtar aish ke qaabil nahin

SHARE