Dil me lagi tasveer teri hata nahi sakta

SHARE

Dil me lagi tasveer
Teri hata nahi sakta..
Tere sang bitaye
Un lamhon ko bhula nahi sakta..
Tere bina kya hogi ye zindagi,
Bata nhi sakta..
Jitna haq hai
Mera tujh par utna bhi
Jata nahi sakta..
Tere sang jeena hai
Tere sang hi marna hai,
Sab khwaab hain
Inhey haqikat bana nahi sakta..
Tuum dil me dil ki
Har dhadkan me rahti ho,
Iesliye ye dil bhi
Cheer kar dikha nahi sakta..
Tuum hi aao,
Samjhao is nadan dil ko,
Main lakh chah kar bhi
Isey samjha nahi sakta..
Bahut ehsaan hai terey,
Meri is zindgi par
In ehsaano ka karz kabhi
Chuka bhi nahi sakta..
Har saans ke saat
Tuumhey hi yaad karta huun,
Ab kitna yaad karta huun
Gina nahi sakata….

SHARE