Toote teri nigah sToote teri nigah se agar dil habaab kaPaani bhi phir piein to maza hai sharaab kaDozakh mujhe qabool, ai, munkir-o-nakeerLekin nahin dimagh sawaal-o-jawab kaTha kis ke dil ko kashmkash-e-ishq ka dimaghYaarab bura ho deeda-e-khana-kharaab kaZahid sabhi hai neimat-e-haq jo hai aql-o-sharbLekin ajab maza hai sharaab-o-kabaab kaGhaafil ghazab se ho ke karam par na rakh nazarPur hai sharar-e-baraq se daaman sahaab kaQatra gira tha choo ke mere ashk-e-garam seDarya mein hai hanzooz phaphola habaab kaSauda, nigah-e-deeda-e-tahqiq ke hazurJalwa har ek zarre mein hai aaftaab ka