Meri zindagi to firaaq haMeri zindagi to firaaq hai, wo azal se dil k makeen sahiWo nigah-e-shoq se door hon, rag-e-jaan se laakh qareen sahiHamein jaan deni hai ek din, wo kisi tarah wo kahein sahiHamein aap khinchein daar per, jo nahi koi to hum hi sahiSar-e-toor ho, sar-e-hashar ho, hamein intizaar qabool haiWo kabi mile, wo kahin mile, wo kabi sahi, wo kahin sahiNa ho un per jo mera bus nahi, k yeh aashqi hai hawas nahiMai unhi ka tha, mai unhi ka hoon, wo mere nahi to nahi sahiJo ho faisla wo sunaye, use hashar per na uthayeJo kareinge aap sitam wahan, wo abhi sahi, wo yahin sahiUseh dekhne ki jo loo lagi, to 'naseer' dekh hi leinge humWo hazar aankh se door ho, wo hazar parda-nasheen sahi