Koi Din Gar Zindgaani Koi Din Gar Zindgaani Aur Hai

SHARE

Koi din gar zindgaan
Koi din gar zindgaani aur hai
Apne ji mein hum ne thaani aur hai
Aatish-e-dozakh mein yeh garmi kahaan
Soz-e-ghumhaae nihaani aur hai
Baarha dekhi hain unki ranjishen
Par kuchh ab ke sargaraani aur hai
De ke khat munh dekhta hai naama bar
Kkujchh tau paighaam -e-zabaani aur hai
Qaata-e-aamaar hain aksar najoom
Woh balaa -e-aasmaani aur hai
Ho chukin ghalib balaaen sab tamaam
Ek marg-e-naagahaani aur hai

SHARE