Jab Nazar Uski Jab Nazar Uski Aan Parti Hai

SHARE

Jab nazar usk
Jab nazar uski aan parti hai
Zindagi tab dhiaan parti hai
Jhel lete hain aashiq, ai farhad
Jiske sar jaisi aan parti hai
Baat is dil ke dard ki , yaaro
Gufatgoo mein nidaan parti hai
Ek ke munh se jis ghari nikli
Phir tau sau ki zabaan parti hai
Lekin itna koi kahe mujh se
Kabhu us ke bhi kaan parti hai
Manzalat sher ki tire, sauda
Yun bawaham-o-gumaan parti hai
Nahin isaah tu, par sukhan se tire
Tan-e-be jan mein jaan parti hai

SHARE