Hans Ke Farmaate Hai Woh Hans Ke Farmaate Hai Woh

SHARE

Hans ke farmaate hai wo
Hans ke farmaate hai woh, dekh ke haalat meri
Kyon tum aasaan samajhte the mohabbat meri
Baad marne ke bhi chhori na rafaaqat meri
Meri turbat se lagi baithi hai hasrat meri
Main ne aaghosh-e-tasawur mein bhi kheincha tau kaha
Pis gai, pis gai be dard, nazaakat meri
Yaar pahlu mein hai, tanhaai hai, kahdo nikle
Aaj kyon dil mein chhipi baithi hai hasrat meri
Aaeena subah-e-shab-e-wasl jo dekha tau kaha
Dekh zaalim, yehi thi shaam ko surat meri
Husan aur ishq hum-aaghosh nazar aa jaate
Teri taswir mein khinch jaati jo hairat meri
Kis dhitaai se who dil chheen ke kahte hai, amir
Who mera ghar har, rahe jis mein mohabbat meri

SHARE