Zindagi mein to sabhZindagi mein to sabhi pyaar kiya karte hainMain to markar bhi meri jaan tujhe chahoongaTu mila hai to ye ehsaas huaa hai mujhkoYe meri umar mohabbat ke liye thhodi haiEk zara sa ghum-e-dauraan ka bhi haq hai jis parMaine wo saans bhi tere liye rakh chhodi haiTujh pe ho jaaoonga qurban tujhe chahoongaMain to markar bhi meri jaan tujhe chaahoongaApne jazbaat mein naghmaat rachaane ke liyeMaine dhadkan ki tarah dil mein basaaya hai tujheMain tasavvur bhi judaai ka bhala kaise karoonMaine kismat ki lakeeron se churaaya hai tujhePyar ka banke nigehbaan tujhe chaahoongaMain to markar bhi meri jaan tujhe chaahoongaTeri har chaap se jalte hain khayaalon mein chiraagJab bhi tu aaye jagaata huaa jaadu aayeTujhko chhulun to aye jaan-e-tamanna mujhkoDair tak apne badan se teri khushboo aayeTu bahaaron ka hai unwaan tujhe chaahoongaMain to marrkar bhi meri jaan tujhe chaaoounga