Toote Teri Nigah Se Toote Teri Nigah Se Agar Dil Habaab Ka

SHARE

Toote teri nigah s
Toote teri nigah se agar dil habaab ka
Paani bhi phir piein to maza hai sharaab ka
Dozakh mujhe qabool, ai, munkir-o-nakeer
Lekin nahin dimagh sawaal-o-jawab ka
Tha kis ke dil ko kashmkash-e-ishq ka dimagh
Yaarab bura ho deeda-e-khana-kharaab ka
Zahid sabhi hai neimat-e-haq jo hai aql-o-sharb
Lekin ajab maza hai sharaab-o-kabaab ka
Ghaafil ghazab se ho ke karam par na rakh nazar
Pur hai sharar-e-baraq se daaman sahaab ka
Qatra gira tha choo ke mere ashk-e-garam se
Darya mein hai hanzooz phaphola habaab ka
Sauda, nigah-e-deeda-e-tahqiq ke hazur
Jalwa har ek zarre mein hai aaftaab ka

SHARE