Ek Boorha Ek Boorha

SHARE

Ek boorh
Ek boorha, naheef-o-khasta zar
Ik zaroorat se jaata tha bazaar
Zoef-e-peeri se kham hui thi kamar
Raah bechara chalta tha jhuk kar
Chand larkon ko us pe aai hansi
Qad pe phabti kahan ki soojhi
Kaha ik larke ne us se ke bol
Tu ne kitne ko li kamaan yeh mol
Pir mard, lateef-o-daanishmand
Hans ke kahne laga ke ai farzand
Pahunchoge meri umar ko jis aan
Muft mil jaaegi tumhein yeh kamaan

SHARE