Chamakte Chaand Ko Chamakte Chand Ko Tuta Hua Tara Bana Dala

SHARE

Chamakte chaand k
Chamakte chand ko tuta hua tara bana dala
Meri aawargi ne mujhko aawara bana dala
Bada dilkash bada rangeen hai yeh shehar kehte hain
Yahan par hain hazaron ghar gharon mein log rehte hain
Mujhe is shehar ne galiyon ka banjara bana dala
Main is duniya ko aksar dekh kar hairaan hota hun
Na mujhse ban saka chhota sa ghar, din raat rota hun
Khuda ya tune kaise ye jahan sara bana dala
Mere malik, mera dil kyun tadapta hai, sulagta hai
Teri marzi , teri marzi pe kiska zor chalta hai
Kisi ko gul, kisi ko tune angara bana dala
Yehi aagaz tha mera, yehi anjaam hona tha
Mujhe barbaad hona tha, mujhe nakaam hona tha
Mujhe taqdeer ne taqdeer ka mara bana dala

SHARE