Jab Bhi Kaali Ghatha Chadh Aati Hai

SHARE

Jab bhi kaali ghatha chadh aati hai
Mann mein ek udasi si chha jaati hai
Kabhi mile the aise hi mahaul mein
Yeh soch ker aankh meri bhar aati hai
Ab saath nahi is baat ka bada gam hai
Yaadon mein teri jitna rolu kam hai
Judai ne teri hum ko bahut sataya hai
Kya batayen kaise mann ko samjhaya hai
Bewafai teri hum kabhi maaf na ker payenge
Mar jayenge per laut ker na teri mehfil mein ayenge
Kayamat ka ab hai humko intezaar
Dard-e-bewafai tu bhi chakh leh ek baar
Phir tujhe hum milne zaroor ek baar ayenge
Sukoon mile ga dil ko to laut jayenge
Per dua teri khush-haali ki hum kiya kerte hai
Kya kare tujhe aaj bhi pyar kerte hai
Kya kare tujhe aaj bhi pyar kerte hai

SHARE