Wo Jo Teri Diwaar Se Utar Jaaya Karte Hain

SHARE

Wo jo teri diwaar se utar jaaya karte hain,
Wo aaine toot k bikhar jaaya karte hain...
Wo phool jo teri zulf ki raunak nahi bante,
Wo phool apni halaat pe marr jaaya karte hain..
Didaar bhale na ho par ye aadat ho gayi hain,
Ham teri galiyon se ho k ghar jaaya karte hain..
Ye pariyaan apni khubsurati pe jo guroor karti hain,
Tumhara naam le de to inke muh utar jaaya karte hain..
Zindagi koi bhaari cheez nahi ye sunn lo tum,
Tumpe likhte likhte din guzar jaaya karte hain..

SHARE