Koi Ghazal Suna Ker Kya Karna

SHARE

Koi ghazal suna ker kya karna
Yoon baat barrha ker kya karna?.
Tum mere thay tum mere ho
Duniya ko bata kar kya kerna?
Tum ishq nibhao chaahat say
Koi rasm nibha kar kya karna?
Tum khafa bhi achay lagtay ho
Phir tum ko mana kar kya karna?.
Tere dar pe aa k bethay hain
Ab ghar bhi ja ker kya karna..
Din yaad se acha guzray ga
Phir tum ko bhula ker kya karna?.

SHARE