Kitabo ke panno ko palat ke sochte hai

SHARE

Kitabo ke panno ko palat ke sochte hai
Yu palat jaaye zindagi to kya baat hai.
Tamanna jo puri ho khwabo me
Haqeeqat ban jaye to kya baat hai.
Kuch log matlab ke liye dhundte hai mujhe
Bina matlab koi aaye to kya baat hai.
Qatal kar ke to sab le jayenge dil mera
Bina matlab koi aaye to kya baat hai.
Jo sharifo ki sharafat me baat na ho
Wo ek sharabi keh jaaye to kya baat hai.
Apne zinda rehne tak to khushi dunga sabko
Jo kisi ko meri maut par khushi mil jaaye to kya baat hai!

SHARE