Mein Jab Bhi Akeli Hoti Hoon : Mein Jab Bhi Akeli Hoti Hoon

SHARE

Mein jab bhi akeli hoti hoon
Mein jab bhi akeli hoti hoon, tum chupkey se aa jatey h
Or jhaank kay meri aankhon mein beetay din yaad dilatey h
Mastana hawa kay jhonkon se har baar woh pardey ka hiln
Pardey ko pakarney ki dhunn mein do ajnabi haatoun ka miln
Aankhon mein dhunwa cha jana sasoun mein sitarey se khiln
Rasty mein tumhara mur mur kar takna wo mujhe jatey jate
Aur mera thitak kar ruk jaana, chilman kay kareb aatey aate
Nazroun ka taras kar reh jaana, ek aur jhalak paatey paate
Baaloun ko sukhaney ki khatir, kothey pe woh mera aa jaan
Aur tum ko muqabil patey hi kuch sharmana, kuch bal khaan
Humsayon kay dar se katrana, ghar walon kay dar se ghabran
Ro ro kay tumhein khat likhti hoon, aur khud pardh kar ro lati hoo
Halaat kay taptey toufaan mein jazbaat ki kashti khayti hoo
Kaisey ho, kahaan ho, kuch tou kaho, mein tum ko sadayien deyti hoo
Mein jab bhi akeli hoti hoon, tum chupkey se aa jatey h
Aur jhaank kay meri aankhoun mein beetay dinn yaad dilate

SHARE