Impressive Shayari SMS Collection

SHARE

Maine kaha k bahut pyaar aata hai tum par
Wo muskura k bole or tumhe aata hi kya hai

Main uska hoon, yeh tou main jaan geya hon lekin
Woh kis ka hai, ye sawaal mujhe sone nahi deta

Chalo achchha hua kaam aa gayi diwaangi apni
Warna hum zamaane bhar ko samjhane kahan jate

Woh karam ungliyon pay gintay hain
Zulm ka jinkay kuch hisaab nahi

Apne siva batao kabhi kuchh mila bhi hai tumhein
Hazaar baar lee hain tumne mere dil ki talaashiyan

Meri bahaduri ke kisse mash’hoor the shehar mein
Tujhe kho jaane ke dar ne kayar bana diya

Tu khamosh kyon hai ye to maloom nhi magar
Dil doob sa jata hai jab tu khamosh hota hai

Guzar gaya wo waqt jab tere talabgar the hum
Ab khuda bhi ban jao to sajda na krenge

This is a great shayari collection 2. If you like shayari collection 2 liner then you will love this. Many people like it for shayari collection download. Share it to spread the love.

SHARE