Aata Hai Yaad Mujhe Aata Hai Yaad Mujhe Guzra Hua Zamana

SHARE

Aata hai yaad mujh
Aata hai yaad mujhe guzra hua zamana
Woh bagh ki bahaaren, who sab ka chahchahana
Aazaadian kahan ab who apne ghaunsle ki
Apni khushi se aana, apni khushi se jana
Lagti hai chot dil par aata hai yaad jisdin
Shabnam ke aansoon par kalion ka muskarana
Woh piari piari soorat, who kaamni si moorat
Aabaad jis ke dam se tha mera aashiana
Aati nahin sadaaen uski mere qafas mein
Hoti meri rihaai, ai kash, mere bas mein
Kya badnaseeb main hoon, ghar ko taras raha hoon
Saathi tau hain watan mein, main qaid mein padah hoon
Aai bahaar kalian phoolon ki hans rahi hain
Main is andhere ghar mein qismat ko ro raha hoon

SHARE