Ek baccha apni maa ke sath ek dukan par shopping karne gaya to dukandaar ne uski

SHARE

Ek baccha apni maa ke sath ek dukan par shopping karne gaya to dukandaar ne uski masumiyat dekhkar uske saare tofiyo ka dibba khol kar kaha… lo beta toffy le lo… par us bacche ne bhi bade pyar se unhe mana kar diya. uske bawajud us dukandaar ne aur uski maa ne bhi use bahut kaha par wo mana karta raha. haar kar us dukandar ne khud apne haath se tofiya nikal kar use di to usne jhat se wo tofiya le li aur apni jeb me daal li. wapis aate huye uski maa ne pucha ki jab uncle tumhare saamne dibba khol kar toffy de rahe the tab tumne nahi li aur jab unhone apne hatho se di to le li, aisa kyu? tab us bacche ne bahut khubsurat aur pyara jawab diya….. maa mere hath chote chote hai, agar main tofiya leta to bahut thodi si aati par uncle ke haath bade hai isliye jyada tofiya mili hai. bilkul isi tarah jab maalik hume apni raaza se kuch deta hai to woh hamari soch se pare hota hai. hume hamesha uski raaza mein rehna chahiye. kya pata wo humhe puraa samandar dena chahta ho aur hum haath me chammach lekar khade ho!!!!

SHARE