Sabak raftaar lamhon ki hadain tarteeb deta hoon

SHARE

Sabak raftaar lamhon ki hadain tarteeb deta hoon,.... seher k saans ginata hoon shabain tarteeb deta hoon..... *-----* main aab-e-zarr say likhta hoon... tumhara naam shairon main,... sunhery lafz bunta hoon tumhain tarteeb deta hoon..... *-----* tujhy sochoon to pehloon say sirak jata hai dil mera,..... main dil pay haath rakh k dharkanain tarteeb deta hoon.......... *-----* khizaan nay khushak patton main sadaain baant rakhi hain,...,..,.. main enki sar saraahat say dhunain tarteeb deta hoon...... *-----* mery logon ki tabeeyat main yazeedgi wasf shaamil hai,.... wohi mujhy mitaaty hain jinhain tarteeb deta hoon...!!!

SHARE