Jab zulm banne laga tha riwaj,
mangal ne uthai pehli awaaz,
do kadam aur badake raah dikhai,
woh thi hamari rani laxmibai,
kai veeron ne li phir thaan,
muskuratey hue diya apna balidaan,
jab phir bhi angrez nahi hue matrook,
toh chali ek aandhi…jisja naam tha mohandas karamchand gandhi,
tab tak unhone nahi toda dum,
jab tak aazaad nahi hue hum,
sar uthake jeene ka manzar aaya,
hindustan ka parcham lehraya,
mahaveeron ne diya humko tohfa,
par hum kar rahe hai unse dhoka,
na swabhav may hai dheer,
na seenay may bacha zameer,
loot rahe hai apne hi gharko,
jaat ke naam kaat rahe ek duje ko,
jab darinde raajnetao se milega kinara,
tab shaan se keh payenge…….
hai azaad desh hamara.