‘Ek Roz Aik Sahab Ne Hum Se Kaha: = Aata Nhi Hy Zikr-e-RÄSÖÖL-E-KHÜDÄ_s’a'w’w Tumhen _ Bus FÄTiMÄ_s’a ki Baat Hy

SHARE

‘ek roz aik sahab ne hum se kaha: = aata nhi hy zikr-e-räsööl-e-khüdä_s’a'w’w tumhen _ bus fätimä_s’a ki baat hy ya häider_a’s ki bat hy _ me ne kaha zikr-e-räsööl-e-khüdä kroon.. _ kehnay lagay k haan yahi johar ki baat hy _ me ne kia jo dawat-e-awwal ka tazkira _ bolay hat’tao is me to häider ki baat hy _ me ne kaha jihad-e-päyämbar kroon bayaan _ bolay khandaq ka zikr hy kahi’n khebar ki baat hy _ me ne sunaya ääyät-e-tätheer ka nuzool _ bolay k ghar me rehnay do ye ghar ki baat hy _ me ne näbi ki butt-shikni ka kia jo tazkira _ bolay paa-e-äli aor dosh-e-päyämbar ki baat hy _ me ne sunaya jab shab-e-hijrat ka waqiya _ bolay k ye räsööl k bistar ki baat hy _ me ne näbi k akhri hajj ka kia jo zikr _ bolay k ye ghadeer k mimbar ki baat hy _ aray me ne kaha k zikr-e-näbi kis tarah kroon _ ähmäd ki baat baat me häider ki baat hy..!’

SHARE