Ik nighah ka sannata hai ik aawaz ka banjar pan main kitna tanha betha hoon qurbat

SHARE

Ik nighah ka sannata hai ik aawaz ka banjar pan main kitna tanha betha hoon qurbat k veeraney main bistar sey karwat ka rishta toot gaya ik yaad k sath khwab sarhaney sey uth betha takiye ko sarkaney main aaj uss phool ki khooshboo mujh main paiham shour machati hai jis ney be had ujlat barti khilney aur mujrjhaney main baat bananey wali ratein rang nikha ey waley din kin rastoun par chor aaya main umr ka sath nibhaney main aik malal ki gard sametey main ney khood ko paar kia kaisey kaisey wasl guzarey hijr ka zakhm chhupaney main jitney dukh they jitni umeedein,sab sey brabar kaam lia main ney apney ainda ki ik tasweer bananey main aik wazahat k lamhey main mujh par ye aehwaal khula kitni mushkil paish aati hai apna haal bataney main pehley dil ko aas dila kar beparwah ho jata tha ab tu “safi” bikhar jata hoon main khood ko behlaney main

SHARE