Barh jaye ya kam ho jaye aglay musam mein
janay kitna gham ho jaye aglay musam mein
mumkin hai jo dukhray sehty sehty dhair huwa
woh bhi taza dam ho jaye aglay musam mein
dard samaitay is umeed pey jeevan beet gaya
ho sakta hai kam ho jaye aglay musam mein
ho sakta hai jitni gehri chahat guzri ho
itna gehra gham ho jaye aglay musam mein
kehna hai jo pyaray keh lo dekho mumkin hai
aana jana kam ho jaye aglay muysam mein…