Meri Zindagi To Firaaq Hai Meri Zindagi To Firaaq HaiMeri zindagi to firaaq haiMeri zindagi to firaaq hai, wo azal se dil k makeen sahi;Wo nigah-e-shoq se door hon, rag-e-jaan se laakh qareen sahi;Hamein jaan deni hai ek din, wo kisi tarah wo kahein sahi;Hamein aap khinchein daar per, jo nahi koi to hum hi sahi;Sar-e-toor ho, sar-e-hashar ho, hamein intizaar qabool hai;Wo kabi mile, wo kahin mile, wo kabi sahi, wo kahin sahi;Na ho un per jo mera bus nahi, k yeh aashqi hai hawas nahi;Mai unhi ka tha, mai unhi ka hoon, wo mere nahi to nahi sahi;Jo ho faisla wo sunaye, use hashar per na uthaye;Jo kareinge aap sitam wahan, wo abhi sahi, wo yahin sahi;Useh dekhne ki jo loo lagi, to 'naseer' dekh hi leinge hum;Wo hazar aankh se door ho, wo hazar parda-nasheen sahi!Translation:Firaaq: seprationNigah-e-shoq: eager glanceRag-e-jaan: a jugular vein Sar-e-toor: mount
Meri Saari Zindagi KoMeri saari zindagi kMeri saari zindagi ko be'samar iss ne kiyaUmar meri thi magar,isko basar iss ne kiyaMain bahut kamzor tha iss mulq mein hijrat ke baadPar mujhe iss mulq mein kamzor'tar iss ne kiyaRehbar mera bana gumraah karne ke liyeMujhko seedhe raaste se darbadar iss ne kiyaShehar mein woh moatbir meri gawahi se huaPhir mujhe iss shehar mein na'moatbir iss ne kiyaShehar ko barbaad kar ke rakh diya iss ne 'munir'Shehar per yeh zulm mere naam par iss ne kiya
Bade ajeeb hain ye zindagi ke raasteBade ajeeb hain ye zindagi ke raaste, anjane mod par kuchh log dost ban jate hain, milne ki khushi de ya na de bichhadne kaGam zarur de jate hain
Jo Zindagi Vich Hoya Ohi Geetan Vich Main LikheyaJo zindagi vich hoya ohi geetan vich main likheyaChanga ya maada thokran kha kha ke main sikheyaPar hun pta lagga zindagi jeeni ini aasan nahiPaise ton bina ithe kise di koi shaan nahi
Yoon Chalte Chalte Thoda Zindagi Se Toh MilYoon chalte chalte thoda zindagi se toh milNa mili manzil toh kinaron se toh mil
Zindagi Yun Hi Bahut Kam Hai Mohabbat Ke LiyeZindagi yun hi bahut kam hai mohabbat ke liyeRooth kar aise yun waqt zaaya na kiya karo