Aye Zindagi Kaash Tu Hi Rooth Jaati MujhseAye zindagi kaash tu hi rooth jaati mujhseYe roothe hue log mujhse manaye nahi jaate
Mile To Hazaron Log The Zindagi Main YaaronMile to hazaron log the zindagi main yaaronWoh sab se alag tha jo qismat main nahi tha
Sar Jhukaoge ToSar jhukaoge to..Sar jhukaoge to patthar devta ho jayega;Itanaa mat chaho use wo be-wafa ho jayega;Hum bhi dariya hain humein apana hunar maloom hai;Jis taraf bhii chal padenge raasta ho jayega;Kitani sachayi se mujh se zindagi ne keh diya;Tu nahi mera to koi doosra ho jayega;Main khuda ka naam le kar pee rahaa hun dostoZehar bhi iss mein agar hoga dawa ho jayega;Rooth janaa to mohabbat kee alamat hai magar;Kya khabar thi mujh se wo itna khafa ho jayega
Meri Saari Zindagi Ko Be'samar Iss Ne KiyaMeri saari zindagi ko be'samar iss ne kiyaUmar meri thi magar,isko basar iss ne kiyaMain bahut kamzor tha iss mulq mein hijrat ke baadPar mujhe iss mulq mein kamzor'tar iss ne kiyaRehbar mera bana gumraah karne ke liyeMujhko seedhe raaste se darbadar iss ne kiyaShehar mein woh moatbir meri gawahi se huaPhir mujhe iss shehar mein na'moatbir iss ne kiyaShehar ko barbaad kar ke rakh diya iss ne 'munir'Shehar per yeh zulm mere naam par iss ne kiya
Dosti Shayad Zindagi Hoti HaiDosti shayad zindagi hoti haiJo har dil mein basi hoti haiWaise to jee lete hain sabhi akele magarPhir bhi zaroorat inn ki har kisi ko hoti hai
Na Zindagi Mili Na Wafa MiliNa zindagi mili na wafa miliNajaane har khushi humse khafa miliJhoothi muskaan liye apne gham chhupaate hainSachi mohabbat karne ki bhi kiya khoob saza mili