Ek Moamma Hai Samajhne KaEk moamma hai samajhne kEk moamma hai samajhne ka, na samjhaane kaaZindagii kaahe ko hai, khwaab hai diivaane kaa khalq kahtii hai jise dil tere diivaane kaa ek gosha hai yeh duniyaa isii viiraane kaa mukhtasar qissa-e-gham ye hai ki dil rakhta huunRaaz-e-kaunain khulaasa hai is afsaane kaa tumne dekhaa hai kabhii ghar ko badalte hue rangAao dekho na tamaasha mere gham-khaane kaaDil se ponhchii to hai aankhon men lahuu kii buundenSilsila shiishe se miltaa to hai paimaane kaaHamne chhaanii hai bohat dair-o-haram kii galiyaanKahiin paaya na thikaana tere diivaane kaHar nafs umr-e-guzishtaa ki hai mayyat faaniZindagi naam hai mar mar ke jiye jaane kaa
Duniya Me Haqiqat Ka Pata Kuch NahiDuniya me haqiqat ka pata kuch nahiIlzam hazaro h khataa kuch nahiMeri zindagi mei kya hai padh na sakogeBas aashqon ke daag hai aur likha kuch nahi
Barbaad Kar Gaye Wo Zindagi Pyaar Ke Naam SeBarbaad kar gaye wo zindagi pyaar ke naam seBewafai hi mili sirf wafa ke naam seZakham hi zakham diye us ne dawa ke naam seAasman bhi ro pada meri mohabbat ke anjam se
Jane Kis Mor Pe Le Aayi Hai ZindagiJane kis mor pe le aayi hai zindagiBand hain dareechey tamam na koi kinara dikhai deNahi maloom ulfat kee hai kaun si manzilKi tere siwa ab na humein guzara dikhai de
Zindagi Ka Falsafa Bhi Kitna Ajeeb HaiZindagi ka falsafa bhi kitna ajeeb haiShaame kat ti nahi aur saal guzarte chale ja rahe hain