Fasle Aise bhi honge kabhi socha na thaFasle aise bhi hongeKabhi socha na tha.Aaj samne tha meraYaar.aur woh mera na tha.
Yaaron Ki Mahefil Aise Jamai Jati HainYaaron ki mahefil aise jamai jati hain,Kholne se pahele botal hilai jati hain,Phir aawaaz lagai jati hain,Aa jao toote dil walo, yaaDard e dil ki dawa pilayi jati hain
Ek Musht-e-Khaaq Aur Woh Bhi Hawa Ke Zad Mein HaiEk musht-e-khaaq aur woh bhi hawa ke zad mein haiZindagi ki bebasi ka istiyaara dekhnaMusht-e-khaaq: a fist full of dusZad: control, holIstiyaara: metapho
Mile Toh Hazaron Loog The Zindagi Mein YaaroMile toh hazaron loog the zindagi mein yaaroWoh sab se alag tha jo qismat mein nahi tha
Inhi Mein Kheechkar Roohe-Mohabbat Maine Bhare HainInhi mein kheechkar roohe-mohabbat maine bhare hainMera ashyaar dekhenge mera dil dekhne waale
Ab Ke Yun Bhi TeriAb ke yun bhi terAb ke yun bhi teri zulfon ki shikan tooti haiRung phootey kahin khushboo ki rasan tooti haiMaut aai hai ke taskeen ki saa't aaiSaans tooti hai ke sadiyon ki thakan tooti haiDil shikasta tou kai baar howay thay laikinAb ke yun hai ke her ek shaakh-e-badan tooti haiItni be-rabt mohabbat bhi kahan thi apniDarmiyaan se kahin zanjeer-e-sukhan tooti haiSilsila tujh se bicharnay ka kahan khatam howaEk zamaaney se raah-o-rasm-e-kuhaa.n tooti haiMere yaaron ke tabassum ki kiran maqtal meinNok-e-neza ki tarha zair-e-kafan tooti haiReza reza mein bikharta gaya her suu "mohsin"Sheesha sheesha meri sangeeni-e-fun tooti hai