Toote Teri Nigah Se Toote teri nigah seToote teri nigah se agar dil habaab kaPaani bhi phir piein to maza hai sharaab kaDozakh mujhe qabool, ai, munkir-o-nakeerLekin nahin dimagh sawaal-o-jawab kaTha kis ke dil ko kashmkash-e-ishq ka dimaghYaarab bura ho deeda-e-khana-kharaab kaZahid sabhi hai neimat-e-haq jo hai aql-o-sharbLekin ajab maza hai sharaab-o-kabaab kaGhaafil ghazab se ho ke karam par na rakh nazarPur hai sharar-e-baraq se daaman sahaab kaQatra gira tha choo ke mere ashk-e-garam seDarya mein hai hanzooz phaphola habaab kaSauda, nigah-e-deeda-e-tahqiq ke hazurJalwa har ek zarre mein hai aaftaab kaTranslationDozakh: suffer in helMunkir-o-nakeer: angels divinSharar-e-baraq: vernal cloud rain and fire combin
Raaste Mein Pattharon Ki Kami Nahi HaiRaaste mein pattharon ki kami nahi hai;Mann mein toote sapno ki kami nahi hai;Chaahat hai unko apna banana ki magar;Unke paas apno ki kami nahi hai
Toote Hain Sheesha Dil Haaye Dil Itne Ke Ehl-e-DardToote hain sheesha dil haaye dil itne ke ehl-e-dardRakhte hain paaon khaak par sau baar dekh ka
Ek Toote Hue Dil Ki Aawaaz Mujhe KahiyeEk toote hue dil ki aawaaz mujhe kahiyeSur jismein hai sab gum ke woh saaz mujhe kahiyeMain kaun hoon aur kyaa hoon kiske liye zindaa hoonMain khud bhi nahi samjha woh raaz mujhe kahiye
Kabhi Hum Toote To Kabhi Khwaab TooteKabhi hum toote to kabhi khwaab tooteNa jane kitne tukdon mein armaan tooteHar tukda aaina hai zindgi kaHar aaine ke saath lakhon jazbaat toote
Honthon Kee Hansi Ko Na Samajh Haqeeqat-e-ZindagiHonthon kee hansi ko na samajh haqeeqat-e-zindagiDil mein utar ke dekh hum kitne toote hue hain