Rukne Ka Samay Guzar Geya HaiRukne ka samay guzar geya haiJana tera ab thehar geya hai;Rukhsat kee ghadi khadi hai sar par;Dil koi do-neem kar geya hai;Maatam kee fazaa hai shehar-e-dil mein;Mujh mein koi shakhs mar geya hai;Bujhne ko hai phir se chashm-e-nargis;Phir khwaab-e-sabaa bikhar geya hai;Bas ek nigaah kee thi us ne;Saraa chehra nikhar geya hai!
Aasan Toh Nahin Apni Hasti Se Guzar JaanaAasan toh nahin apni hasti se guzar jaanaUtra jo samundar mein darya toh bohat royaJo shakhs na roya tha tapti raahon meinDeewaar ke saaye mein beitha toh bohat roya
Barabar Se Bach Kar Guzar Jaane WaleBarabar se bach kar guzar jaane waleYeh naale nahi be-asar jaane waleNahi jaante kuch ki jaana kahan haiChale ja rahe hain magar jaane wale