shayari gham e zindagi

Tum Hi Ko Dekhtrahi Hain

Tum hi ko dekhtrahi hain
meri ye nigaahein.
Tumhare hi nam ki hain,
Mene ye nigaahein!
Motiyun ki tarah
chamakti hui ye nigaahein.
Chaah me tumhari,
Damakti hui ye nigaahein!
Mohabbaton ke phool khilaati ye nigaaahein.
Ummeedon ke chiraagh jalaati ye nigaahein!
Khush huey tum to mutabassum ye nigaahein.
Ghamgeen huey tum
To purnam ye nigaahein!
Judaai per ,
Tum se
dubdubaati nigaaahein.
Yaad ker ke tum
Ko aansu bahati nigaahein!
Kahin farishton ki tarah masoom nigaahein.
Kahin shokh shareer pagal banati nigaahein!
Tum ne ,
Pyaaar se
kabhi jo,
Dekhlyaa toh
Sharm-o-haya se ,
Jhukti jhukaati nigaahein!
Kabhi hum me tum me
Kuch takraar hui to
Ghooorrti aur ghussaa dikhaati nigaaahein!
Kabhi yuheen,
Naraaz hum se,
Ho gaaye tum
Toh girrgiraati ,
Lajaati ,
Manaati nigaaahein!
Bohat hi dooor jaake ,
Jo waapas aaye tum
Khushi me gungunaati
Geet gaati nigaahein!
Tum ko pareshaan aur khaamosh dekh ker.
Hoslaa barhaati , himmat dilaati nigaahein!
Shararat ke mood me kabhi tum ko dekha t
Chhupti chhupaati or gudgudaati nigaahein!
Kabhi koi ghum, hamaare dill, ko milgaya to
Chiragh-e-seher si bujhti bujhaathi nigahein!
Kisi baat per tum ne buraa bhala kah diya to
Mayooos , kuch kehti sawaaali nigaaahein!
Apni mohabbat ko kahin khatre me dekhaa to.
Larti laraati , toofaaan utthaathi nigaaahein !
Bin tumhaare, hain, bechain-o-benoor hurpa
Kajraari , piyaasi , yeh mathwaali nigaaahein!
In nigaaahon ki chamak tum legaaye keunn
Dard-o-ghum ki dhanak tum degaaye keunn
Nigaahein tum ko ab bhi dekhthi hain magarr.
Bey-nooor , bey-ronaq aur by- rangg hokerr!
Aankh bundd hone se pehle ,aik nazar kerlo !!
Iss me tum hi basay ho , iss ki qadar kerlo !!
Iss nigaah ko , phirr aik baarr, roshinii dedo !!
Fanaa hoti , mohabbat ko, naai zindagii dedo !!

  •  
  •  
  •