Zakhm Jhele DaaghZakhm jhele daagZakhm jhele daagh bhii khaaye bohatDil lagaa kar ham to pachhtaaye bohatDair se suu-e-haram aaya na tukHam mizaaj apnaa idhar laaye bohatPhuul, gul, shams-o-qamar saare hii thePar hamen unmen tum hii bhaaye bohatGar bukaa is shor se shab ko hai toRovenge sone ko hamsaaye bohatMiir se puuchha jo main aashiq ho tumHo ke kuchh chupke se sharmaaye bohat
Khauf Ki ShabKhauf ki shaKhauf ki shab mein honth seenay seMarna behtar hai aisay jeenay seKuch tou qaayim rahay anaa ka bharamDekhna hai ose qareenay seYun tamasha tou osko hona thaJo ghiri aarzoo ke zeenay seKuch hawaaon ka aitbaar nahiWarna kia khauf os safeenay seDil ka ab talkhion se naata haiLutf laita hai zeher peenay se
Hijr Kee Shab Mein Qaid Kare Yaa Subh-e-Visal Mein RakheHijr kee shab mein qaid kare yaa subh-e-visal mein rakheAchha maula teri marzi tu jis haal mein rakheKhel ye kaisaa khel rahi hai dil se teri mohabbatIk pal kee sarshari de aur dino malaal mein rakheMaine sari khushbuein aanchal se baandh ke rakhiShayad in ka jikr tu apne kisi sawal mein rakheKis se tere aane kee sargoshi ko sunte hiMaine kitne phool chune aur apni shaal mein rakheMushkil ban kar toot padi hai dil par ye tanhayiAb jaane ye kab tak us ko apne jaal mein rakhe
Qasid Ne Khabar Di Thi K Aeinge Shab Ko WohQasid ne khabar di thi k aeinge shab ko wohChiragaan itna kia hum ne k ghar ko jala dala
Hajoom Mein ThaHajoom mein tha, woh khul kar na ro saka ho gaMagar yakeen hai ke shab bhar na so saka ho ga
Kyon Vasl Ki Shab Haath Lagaane Nahin DeteKyon vasl ki shab haath lagaane nahin deteMa'shuq ho ya koi amaanat ho kisi ki