Sarkati Jaye Hai Rukh SeSarkati jaye hai rukh sSarkati jaye hai rukh se naqab aahista-aahistaNiklta aa raha hai aaftab aahista-aahistaJawan hone lage jab wo to hum se kar liya pardaHayaa yaklakht aayi aur shabab aahista-aahistaShab-e-furkat ka jaaga hu farishto ab to sone doKabhi fursat mein kar lena hisab aahista-aahistaSawal-e-wasl par unko adu ka khauf hai itnaDabe hontho se dete hain jawab aahista-aahistaHamare aur tumhare pyaar mein bas fark hai itnaIdhar to jaldi-jaldi hai udhar aahista-aahistaWo bedardi se sar kaate 'ameer' aur main kahun unseHuzur aahista-aahista janaab aahista-aahista
Har Bul-Hawas Ne Husn-Parasti Shiaar KeeHar bul-hawas ne husn-parasti shiaar keeAb aabroo-e-sheva-e-ahl-e-nazar gayiNazare ne bhi kaam kiya wan naqaab keeMasti se har nigah tere rukh par bikhar gayiTranslationEach common lover has become a fake priest of beautyThe distinction of the visionary lover has been erasedLooking itself performed the function of secreting youEach blinded gaze refracted on the glories of your face