Woh Kuch Gehri Soch Mein Aise Doob Geya HaiWoh kuch gehri soch mein aise doob geya haiBaithe baithe nadi kinare doob geya haiAaj kee raat na jaane kintni lambi hogiAajka suraj shaam se pehle doob geya haiWoh jo pyasa lagta tha sailab-zada thaPaani paani kehte kehte doob geya haiShor to yun utha tha jaise ik toofan hoSanaate mein jaane kaise doob geya haiAakhiri khawhish poori kar ke jeena kaisa"anees" bhi sahil tak aa ke doob geya hai
Tere Sheher Teri Soch Se Nikal JaungiTere sheher teri soch se nikal jaungiKisi udaas sham mein dhal jaungiTu jo mukar geya hai har baat se apniDekh lena ek din main bhi badal jaungiMat dikha mujh ko apna ye masoom chehraJab ki tu janta hai main pighal jaungiChahe laakh tadpun tere intezar meinMat lout ke aana main sambhal jaungiTera hona itna zaroori to nahi haiMain to yaadon ke khilauno se behel jaungi
Zindagi Mein Hamesha Naye Log MilengeZindagi mein hamesha naye log milengeKahin zyada to kahin kam milengeAitbaar zara soch kar karnaMumkin nahin har jagah tumhe hum milenge
Yeh Darya Ishq Mein Qadam Zara Soch Ke RakhnaYeh darya ishq mein qadam zara soch ke rakhnaIsh mein utarne wale ko kinara nahi milta
Jane Kya Soch Ke Lehrein Sahil Se Takrati HainJane kya soch ke lehrein sahil se takrati hainAur phir se vapis laut jati hainSamaj nahi ata ke woh kinaro se bewafai karti hainYa phir laut ke samandar se wafa nibhati hain
Ungliya Aaj Bhi Isi Soch Mein Gum HainUngliya aaj bhi isi soch mein gum hainKi kaise usne naye haath ko thama hoga!