Naye Kapde Badal Kar Jaun Kahan Aur Baal Banaun Kis Ke LiyeNaye kapde badal kar jaun kahan aur baal banaun kis ke liyeWoh shakhs to shehar hi chodd geya main bahar jaun kis ke liyeMuddat se koi aayaa na geya sunsaan padi hai ghar kee fazaaIn khali kamron mein 'nasir' ab shama jalaun kis ke liiye
Khwab Ke TarahKhwab ke taraKhwab ke tarah bikhar jane ko jee chahata haiAisi tanhai ki mar jane ko jee chahata haiGhar ke vahshat se larazata hun magar jane kyonSham hoti hai to ghar jane ko jee chahata haiDoob jaun toh koi mauj nishan tak na batayeAisi nadi mein utar jane ko jee chahata haiKabhi mil jaye to raste ke thakan jag padeAisi manzil se guzar jane ko jee chahata haiWohi paiman jo kabhi jee ko khush aaya tha bahutUsi paiman se mukar jane ko jee chahata hai
Udaas ShameinUdaas shameiUdaas shamein, ujaad rastey, kabhi bulayen to laut anaKisi ki ankhon mein ratjagon ke azaab ayen to laut anaAbhi nayi wadiyon, naye manzron main reh lo magar meri jaanYeh saarey aik aik karke jab tum ko chod jayen to laut anaNaye zamanon ko qurb orrhey, zayeef lamhey, niddhaal yadeinTumharey khawbon ke band kamron mein laut ayen to laut anaAgar andheron mein chod kar tum ko bhool jayen tumhare sathiAur apni khatir hi apne apne diye jalayen to laut anaMeri woh batein to jin pe be'ikhtyaar hanstaa tha khil'khilaa karBicharney wali meri woh batein kabhi rulaayein to laut ana
Jo Bhi Deewar Hai Raste Jo bhi deewar hai rasteJo bhi deewar hai raste mein giraa ke ro leinAao ik doojay ko seene se laga ke ro leinSaamne tu hai to hum dil mein bhi ro sakte hainYu'n karein hum tujhe baaton mein laga kar ro leinTere aaney se yeh naraaz raha karte hainJee mein hai aaj har ik gham ko manaa kar ro lein
Raste Kaa IntikhaabRaste kaa intikhaaRaste kaa intikhaab zaroori sa ho geyaAb ikhtitaam-e-baab zaroori sa ho geyaHum chup rahe to aur bhi ilzam aayegaAb kuch na kuch jawab zaroori sa ho geyaHum taalte rahe ki ye naubat na aane payePhir hijr ka azaab zaroori sa ho geyaHar sham jald sone kee aadat hi pad gayiHar raat ek khwab zaroori sa ho geyaAahon se toottaa nahi ye gumbad-e-siyahAab sang-e-aaftaab zaroori sa ho geyaDena hai imtihaan tumhare firaq kaAb sabr ka nisab zaroori sa ho geya
Raat Apne Khwab Kee Keemat Ka Andaza HuaRaat apne khwab kee keemat ka andaza huaYe sitara neend kee tehzeeb se paida huaZehan kee zarakhez mitti se naye chehre uge;Jo meri yaadon mein zinda hai saraseema huaMeri aankhon mein anokhe zurm kee tazveez thiSirf dekha tha use us ka badan maila huaWo koi khushbu hai meri saans mein behti huiMain koi aansu hun us kee rooh mein girta huaUs ke milne aur bichad jane ka manzar ek haiKaun itne fansalon mein be-hijaab aisa hua