Tujhse Bicharr KarTujhse bicharr kaTujhse bicharr kar kya hun main, ab bahar aakar dekhHimmat hai to meri haalat, aankh mila kar dekhShaam hai gehri, tez hawaa hai, sar pe khari hai raatRasta gaye musafir ka ab diya jalaa kar dekhDarwaze ke paas aa aa kar wapis mudti chaapKaun hai iss sunsaan gali mein, paas bula kar dekhShayad koi dekhne wala ho jaye khairaanKamre ki deewaron par koi naqsh bana kar dekhTu bhi munir ab bhare jahaan mein mil kar rehna seekhBahar se to dekh liya, ab andar jaa kar dekh