Muddat Se Lapata Hai Khudaa Jaane Kya HuaMuddat se lapata hai khudaa jaane kya huaPhirta tha ek shakhs tumhein puchta huaaWo zindgi thi aap the ya koi khwab thaJo kuch tha ek lamhe ko bas samna huaHum ne tere bagair bhi jee kar dikha diyaAb ye sawal kya hai ki phir dil ka kya huaSo bhi wo tu na dekh saki ai hawa-e-daharSeene mein ik charag rakha tha jala huaDuniya ko zid numaish-e-zakhm-e-jigar se thiFariyad maine kee na zamana khafa huaHar anjuman mein dhyaan usi anjuman ka haiJagaa ho jaise khwaab koi dekhta huaYe iztiraab-e-shauq hai 'akhtar' ki gum-rahiMain apne kaafile se hun koson badha hua
Jo muddat se hota aaya haiJo muddat se hota aaya haiWoh repeat kar dungaWoh na mili to apni zindagiCtrl+alt+delete kar dunga
Ek Muddat Mein Parakhne Ka Shuur Aata HaiEk muddat mein parakhne ka shuur aata haiBewafa keh dun unhen pehli nazar mein kaise
Muddat Se Jis Ke Waaste Dil Beqarar ThaMuddat se jis ke waaste dil beqarar thaWo laut kar na aaya magar intezaar thaJo humsafar tha chhod gaya raah mein mujheMain phans gaya bhanwar mein woh darya ke paar tha
Muddat Se Gum Hua Dil-e-Begaan-e-SirajMuddat se gum hua dil-e-begaan-e-sirajShayad ke jaa laga hai kisi aashna ke hath
Muddat se hume jin ki aas thi, ShayariMuddat se hume jin ki aas thiWo mile par kuch yun mile.. e-dosHum nazar utha-utha kar tadap gayeAur wo to nazar jhuka kar guzar gaye