Dekh Lete Ho Mohabbat SeDekh lete ho mohabbat sDekh lete ho mohabbat se yahi kaafi haiDil dhadakta hai sahulat se, yahi kaafi haiHaal duniya ke sataye hue kuch logon kaPuch lete ho shararat se, yahi kaafi haiJo bhi raaste mein guzarta hai mere pehlu seDekhta hai teri nisbat se, yahi kaafi haiMuddatton se nahin dekha tera jalwa lekinYaad aa jate ho shidat se, yahi kaafi haiSaari duniya se ulajhte hain lekinTera kahaa maan jate hain sharafat se, yahi kaafi haiKya hua hum jo muyassar jo zar-o-maal nahinKatt rahi hai bari izzat se, yahi kaafi haiAaj ke ehad taghaful mein kisi dar pe 'munir'Koi aa jaye zarurat se, yahi kaafi hai
Khayaal-e-Husn Mein Yun Zindagi Tamaam HuiKhayaal-e-husn mein yun zindagi tamaam huiHaseen subah hui aur haseen shaam huiBaqaar-e-ishq bas ab sar jhuka de kadamon parUdhar se tere liye sabaqat-e-salaam huiHar ek apni jagah khush har ek yahi samajhaNigah-e-khaas b-tarz-e-nigaah-e-aam huiNazar mili to tabassum raha khamoshi parNazar phiri to zara himmat-e-kalaam huiBas ab to tum ne mohabbat ka le liya badlaMaaf karna jo takleef-e-inteqam huiHai dekhne hi ka waqfa jise samajhte hain'raza' wo dhoop chadhi din dhala wo shaam hui
Woh Mehndi Wale Haath Mujhe Dikha Kar RoyiWoh mehndi wale haath mujhe dikha kar royiAb main hun kisi aur kee yeh mujhe bata kar royiPehle kehti thi ki nahi jee sakti tere binAaj phir se woh baat dohra kar royiKaise karun uski mohabbat pe shak yaaroWoh bhari mehfil mein mujhe gale laga kar royi
Iss Umar Ke Modh Par Sirf Mohabbat ChahiyeIss umar ke modh par sirf mohabbat chahiyeBotal ka sahara toh tamaam zindagi lete rahe
Uski Chahat Ne Rulaya Bahut HaiUski chahat ne rulaya bahut haiUski yaadon ne tadpaya bahut haiHum usse karte hain mohabbat beintehaaIss baat ko usne aazmaya bahut hai