Gham-E-Dil Ko Inn Aakhon Se Gham-E-Dil Ko Inn Aakhon Se Chalak Jana Bhi Aata HaiGham-e-dil ko inn aakhon seGham-e-dil ko inn aakhon se chalak jana bhi aata hai;Tarapna bhi hamein aata hai tarpaana bhi aata hai;Kisi ki yaad mein jo zindagi hum ne guzaari hai;Hamein woh zindagi apni mohabbat se bhi pyari hai;Woh aayein ru-ba-ru hum dastaan apni sunayein ge;Kuch apna dil jalayein ge, kuch unnko aazmayein ge;Dabe paaon hamein aa kar kisi ka gud-gudaa dena;Woh apna rooth jana aur woh unnka manaa lena;Woh manzar jhaankte hain aaj bhi yaadon ki chilman se;Bhula sakta hai kaise koi woh anzaad bachpan ke;Hamein aata nahi hai pyar mein be-aabru hona;Sikhaya husn ko hum ne wafaa mein surkhuroo hona;Hum apne khoon-e-dil se zindagi ki maang bhar dein ge;Yeh dil kya cheez hai, hum jaan bhi qurbaan kar dein ge
Lok Puchhde Saddi Mohabbat BaareLok puchhde saddi mohabbat baareAsin aapni kahani kyon dassiyeKahaniyaan taan banangiyaan saddi mout pichhonAsin aapni jubani kyon dassiye
Na Zindagi Mili Na Wafa MiliNa zindagi mili na wafa miliNajaane har khushi humse khafa miliJhoothi muskaan liye apne gham chhupaate hainSachi mohabbat karne ki bhi kiya khoob saza mili
Khoobsurati Kee Pehchan Banawat Se Nahi HotiKhoobsurati kee pehchan banawat se nahi hotiMohabbat kee pehchan dhadkano kee aahat se nahi hotiKaise samajh liya khush hain hum aapke bagairKhushiyon kee pehchan sirf muskurahat se nahi hoti
Kyon Koi Chaah Kar Mohabbat Nibha Nahi PaataKyon koi chaah kar mohabbat nibha nahi paataKyon koi chaah kar rishta banaa nahi paataKyon leti hai zindagi aisi karvatKi koi chaah kar bhi pyaar jataa nahi paata